[Show all top banners]

confused_soul
Replies to this thread:

More by confused_soul
What people are reading
Subscribers
:: Subscribe
Back to: Stories / Essays / Literature Refresh page to view new replies
 बन्टी और बबली ( प्यार दिवाना होयेल )

[Please view other pages to see the rest of the postings. Total posts: 36]
PAGE:   1 2 NEXT PAGE
[VIEWED 37812 TIMES]
SAVE! for ease of future access.
The postings in this thread span 2 pages, View Last 20 replies.
Posted on 03-14-13 4:37 PM     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     7       ?     Liked by
 

Ye katha Patna ke gao se hai. Us gao ke sarpanch babulaal apni imandaari ke liye sarbatra mahasoor bhayi rahel. Babulaal ki ek patni, do bête aur ek beti howi rahel. Beti Bubli ekdum khoobsoorat rahel, moti ki tarah, gulaab ki ful ki tarah. Babulaal apni beti ko kahel “Ey beti! Jawan ladki khuli tijori ki tarah bhayel, tu idhar udhar mat ghuma kar.” Par babulaal ko thode na pata, bubli to gau ke chokre bunty ke sath nain ma takka kheli rahel.

Ek din bubli college jawathe. Bunty bubli ka dekhan man me kuch kuch hawath. Bunty ne rumaal giraya, tirchi najar ladai , aur kaha, “Oye Bubli, ye tohar rumaal hai ka?”. Bunty muskai or kuch kuch ho hi gaya!

Woh dono kheto me ghume, gaana waana gaya. Pyaar ho hi gaya bunty aur babli ka. Par samaaj unke khilaaf bhayel. Bunty garib family se bhayel, you see. Par babli bunty ko pyaar karath, garibi amiri ko wasta nahi karath.

“Main tumhare bina mar jaungi, bunty”, bubbly kahel.

“Par ye samaaj hamare khilaaf bhayel, Bubbly. Tu amir bhayel, main garib bhayel.” Bunty ne bidi salkaya.

“Mujhe tere pyaar ke siba aur kuch nahi chahiye Bunty, aa gale lagja”, bubli kahel.

Sarpanch babulaal ke kaamdar yi sab dekh rahal khet ke kone se. Who kaamdar haweli ko daude aur sab khabar de hi diya. Sarpanch babulaal bahut ghussa ho gaye.

“Ey Bittu, mera rifle nikal re”, Sarpanch kahel

Bittu bada ghabraya, par sarpanch jo bole wo na kiya to bittu ki khair nahi howe raheth.

Bittu ne banduk thamadi, aur sarpanch nikle Bunty ko dhoodne gaao (village) me.

To be Continued howel …..


Last edited: 14-Mar-13 09:11 PM

 
Posted on 03-14-13 4:44 PM     [Snapshot: 25]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     1       ?     Liked by
 

I haven't finished it yet, but came here to commend you on chosing the awadhi language.
 
Posted on 03-14-13 4:45 PM     [Snapshot: 21]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     2       ?     Liked by
 

और इसके बात क्या होइल , जल्दी जल्दी लेखेल, हमरा पढ्ने को मन भएल



Last edited: 14-Mar-13 04:45 PM

 
Posted on 03-14-13 4:48 PM     [Snapshot: 35]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     1       ?     Liked by
 

This is too funny. Your mix of awadhi, hindi, english and whatever else cracked me up good.
If the story continues to be funny or strong, will vote for this comes April 1st.
 
Posted on 03-14-13 5:01 PM     [Snapshot: 77]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     1       ?     Liked by
 


   Bahut achha kahani rahel

 
Posted on 03-14-13 5:30 PM     [Snapshot: 109]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     1       ?     Liked by
 

 Humko tumhaare kahani bahut pasand aai gawa! Bada accha hai. Lage raho, confused soul bhai. dusra bhaag kab aayel aab? 
 
Posted on 03-14-13 9:17 PM     [Snapshot: 283]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     0       ?    
 

Hamaar maa aur babuji humse kahel, "tu writer nahi ban sakta babuwa" . Hum kaahe naahi, hum writer banunga. Yi hamaar pehla prayash bhayel , first attempt. Aap log ko pasad ayel, hum khush bhayel. 

Hum yi love story bihani me (morrning) update karunga. Padne ke liye shukriya. Chahne ke liye shukriya. 

- Cs (Jwala) 
 
Posted on 03-15-13 12:17 AM     [Snapshot: 417]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     1       ?     Liked by
 

 हम तो हस् हस् के लोट पोट होईल :) 
 
Posted on 03-15-13 11:27 AM     [Snapshot: 581]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     1       ?     Liked by
 

nitisa, tum has ke lot pot bhayel, hum khush bhayel!

CS (Jwala) prastut karathe: Bunty aur Bubli (Pyaar Deewana Hoyel), Part 2:

XXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXX

Sarpanch babulaal gaadi ko chadan waaste nikle rahel, par unki biwi Roopmati bahut pareshan hoi gayin.
 
“Ey Bubli ke paapu, apni beti ko bandook se udaoge kya?” Roopadevi dhoti samhaldai bol rahin.
 
“Teri beti us lafange bunty ke sath gulfange uda rahel, roopmati, aaj ya to woh na rahel, ya to main na rahel!” Thakur furious hoigawa, mucho (moustache) bhi ekdum straight hoi gayel.
 
“Oye Hoye bhagwaan hanuman, yi din dikhat agaadi meri jaan kyun nahi chali gayel!”, Roopmati fut fut ke rone lagi rahel.
 
Champa aur Shilpa (maids) turunta ai rahel, aur roopmati ko haweli ke andar lagi rahel.
 
“Paandu, Baanke, Ballu, Chintu, sab log mere sath aao”, sarpanch chillaye rahel, chillaye itne jor se ki aangan ke kauwa bhi fur fur ud rahel.
 
To sab log fatafat se jeep main baithe, bandook, laathi lekar. Baanke ne aisi gaadi kudayi ki woh kheto main 10 minut me pahuch hi gaye.
 
Ek chumma tu mujhko udhaar dai de, aur badle me …………..music………………aur badle me……………….music…………….aur badle me UP Bihar lai le………………
 
Jab sarpanch aur unke aadmi kheto me pahuch gaye, tab bunty aur bubli pyaar me mast gaana gai rahel. Nach bhi rahel thodi thodi feri.
 
“Bunty, mere barfi, tumre bin main nahi ji sakel, priye”, Bubly kahel
“Hum bhi tumse pyaar karel Bubly Jaaneman, hamaar judaai asambhav bhayel”, Bunty reply karel, madly in love bhayel
 
“Kalmuhiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiiii”, woh bunty aur bubbly pyaar me mast puppy karne ni waale the paraal (hay) ke pile me, par sarpanch ki cheekh se woh romance main paani fir gaya.
 
“Bunty kamine, teri aukat kaise bhayel, meri ful jaise beti se pyaar karne ki?” Sarpanch banduk me goli fit kardai kahel
 
“Sarpanch ji, pyaar aukat nahi dekhel, dil dekhel, hum tumri beti se shaadi rachane ki kasam khayel”
 
“Kasam khayel? Kasam khayel? Arey kamine, ab goli kha!”
 
To Sarpanch babulaal banduk Bunty ke taraf tersayel, aur trigger dabane ni wale bhayel, tab Bunty ki maa ki awaz sunai diyel.
 
Let me explain. Bunty ke paapu Lakhan Kumar ek jamane me bahut imaandar inspector bhayel. Gau (village) me daaku ki ataank se logo ko bachane ke time pe unki maut ho gayel. Tab se Bunty apni andhi maa Rampiyari aur bidhwa bahen Fulmati ke saath rahel.
 
To Bunty ki andhi maa ai rahel khet me, lauro bokdai. Woh Bunty ko dhood rahel.
 
“Arey besharam aurat, mujhe kyun pakad rahi hai? Tera beta udhar kone main hai” Bittu bolathe, aur Rampiyari udhar gayi.
 
“Sarpanch ji, mere bête ko maaf kar diyel, ye nahi hoga to mujh buddhi ka khyaal kaun karel?”
 
Par Sarpanch ji bahut ghussa bhayel, so Rampiyari ki baat nahi sunel.
 
Woh trigger dabaane hi wale the, tab Bubly Bunty ke aage jaa kar khadi hoyel.
 
“Ruk jao papu, mujhe kuch kehna bhayel”
 
“Ab kya kahel tu kalmuhi, khandaan ki ijjat ko mitti me milaike kya kahel?”
 
“Main Bunty ki bachche ki maa banne wali bhayel”
 
To be Continued bhayel…


 
Posted on 03-20-13 2:56 PM     [Snapshot: 858]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     1       ?     Liked by
 

 हरेsssss ! अवधि , नेपाली, हिन्दी र अलि अलि मैथली(कता कता) भाषाको बलात्कार .... भयो पर्भो भयो.....
 
Posted on 03-20-13 3:07 PM     [Snapshot: 859]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     1       ?     Liked by
 

बब्ली मा बन्ने भएल, अरु सर्पंच नाना होने भएल, कहानी मे हुत टुइस्ट आरहेल,

अब क्या होयेल

 
Posted on 04-03-13 2:26 PM     [Snapshot: 1097]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     0       ?    
 

thahachaena, humar bhasa ka sammelan ko tum kaisan naam debathe?

serial babuwa, ab kya hoyel bahut jaldi pata chalel. hum likh raha hu.

 
Posted on 04-03-13 2:56 PM     [Snapshot: 1131]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     1       ?     Liked by
 

Yi kahani ka bahut break hoigawa. Hum du hapte baad likh raha hu, isiliye thoda bahut fast forward karunga, jai maha laxmi.

Confused soul (Jwala) prastut karath Bunty aur Bubly bhaag 3.

XXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXXX

Sarpanch babulaal ki haweli kea age sab family log jamma bhayel. Pandu, Baanke, Ballu aur Chintu wo haweli ke aage bamboo lekar khada bhayel, surakhsya ke khatir.

“kalmuhi, ab hum gao me kaisan mu dikhayel bol?” Sarpanch ghussa bhayel, par 2 nimbu pani aur 4-5 bidi ke baad thoda bahut maintain bhayel.

“ Babuji, humko maaf kar deol, hum Bunty se prem karatho” jab Bublee ye bolel tab Roopmati usko jor ka laafa lagailelin.

“Are kalmuhi us bhikmange ke bête se pyaar karatho? Shame wame hai ki nahi?”

Bublee lakh chillai, gidgiddayi, par uska bhagya nischit bhayel paile nai. Jab wo 10 saal ki bhayel tab sarpanch babulaal apne jigri langoti dost fulwant singh ke bête chunnilaal se bublee ka rista already promise karel. Ab Bublee ko Bunty ko chod ke Chunnilaal ke sath biha rachakaar Bihar ke gaun jana parel.

Bunty aur Bublee juda ho gayel. Bublee ko uske babuji ne haweli me band kardiya aur ye badaa taalcha maardiya. Bunty ko bhi uski maata ne Bublee ko bhetgaht karne se manah kar dala. Bunty aur Bublee ek duje ke pyaar me rote rahen. Har bakhat ek duje ko yaad karte rahe. Ek lamha nahi bhayel jab wo asu na tapkayel ho.

Chunnilal handsome naujawan nahi bhayel. Ekdum ka slim aur daariwal badsoorat bhayel. Wo janathe ki bublee ke pet ka baccha Bunty ka bhayel. Fir bhi wo Bublee se shaadi rachane ke liye ready bhayel. Na bhayel pani kasari, Bublee ekdum Katrina Kaif ke maafik sundar hoyel.

Pandit Shrivastav ne shaadi ki mahurat declare kar diyel, baishak ki 20 taarikh ko, bublee ghabrayel, lakh haar gujaar karel, par uski bhagya nishchit bhayel.

Shaadi ke 3 din aage bubbly apne kaam wali baai kamla ko boli “Ey kamla, meri ek kaam karatho?”

Kamla boli “ha beti raani, ap bolel, hum karel, aap ko hum 2 saal se jaante hain, hum aapki khatir sabkuch karel”
Bublee muskai aur boli “Kamla, Bubly ke saath na jina bhi kya jina, yi 30 ruppiya le jao aur chuhe maarne ki dawa lekar aao, aur kripaya mujhse lakh sawal mat karo, kewal dabaa le aao”

Kamla shocked bhayel, tei pani aba malikni le bhanepachi garnai parel. Who Nirmal Medical Store taraf paila chalel.

Uhi bakhat Bunty sokgrasta bhayel. Bublee ke pyaar me bhuk chain sab haraam bhayel. To usne Kamla ko bazaar me dekh liya, tab jaldi jaldi ek paper me apni dil ki baat likhel aur kamla ke pass gayel aur bolel, "Ey kamla, yi chitti humri bubli ko dede re, hamaar pyaar amar hoyel."

chitti main ye geet lekhel pyaar ke naam:
Tu Mercedes ki gaadi bubbly
Main bihaar ka thel gaada
Tu chamakti banarasi shaari
Main roopa chaddi kaa naada

Tu gulab ki fuul bubbly
Main badsurat ful gobi ka
Tu dudh main nahane wali amir
Main beta dhobi ka

Tere aakhe tare jaisi
Mera surat kader khan ka
Tujhe babulaal ne kardiya band
Pareshaan hai tera Bunty wa

Yaad me tere din raat rota hu
Bhid main bhi akela akela hota hu
Chhota bunty tere pet main hai
Par tera bunty idhar khet main hai

Hamaar Milan hoga bubbly tu chinta mat karna
Prem ke in shatru log le mat darna
Sab le ladkar, sab se bhidkar, tujhe lene aaunga
Jo kuch bhi ho bubbly, tujhe dulhaniya banaunga


Kamla chali haweli ke aur chitti aur chuhe maarne ki dawa lekar. Aage kya howel? Dekhne ke liye tune in karel kal.

To be Continued bhayel (CS "Jwala") ......
 
Last edited: 03-Apr-13 04:40 PM


 
Posted on 04-03-13 3:23 PM     [Snapshot: 1153]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     1       ?     Liked by
 

कहानी में और एक टूइस्ट आयेल, क्या कमला चुहे मार्ने कि दवाई लेकर आने को सफल भएल, क्या  बब्ली चुहे मार्ने कि दवाई खायेल के मर्ने भएल, या बन्टी बब्ली को भागाके लाने सफल भएल

ये सब देख्ने के लिए वैट करेल और दो वीक्स
 
Posted on 04-03-13 10:57 PM     [Snapshot: 1322]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     1       ?     Liked by
 

 Thanks for the Kick start Provided to morning...hahahahhahaha....CS"Jwala" हम वेट करेल, लेखत रहो >>>
 
Posted on 04-04-13 10:08 AM     [Snapshot: 1410]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     0       ?    
 

serial wa fuccheketo, padhne ke liye shukriya. aap hamaar katha padhel, hum aabhaari hu. aaj afternoon me aur likhunga. bahut bahut shukriya babuwa log.

 
Posted on 04-04-13 11:44 AM     [Snapshot: 1471]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     0       ?    
 

Confused Soul (Jwala) prastut karatho "Bunty Aur Bubli (Pyaar Diwana Hoyel)" bhaag 4.

Kamla baai chuhe maarne ki dabaa aur Bunty ke chitti lekar haweli pahuchgai turuntai. Gate pe Bittu khada tha, wo bola “Arey o Kamla, ki lekar ja rahel?” kamla boli, “kauno cheez nahi, Bittu, yi dabaai hai, Bublee mem shaab ki pair me moch ayel, hum yi chameli ki tel se maalish karatho”. Bittu bole, (flirting tone me), “ Arey wah, yi kya nainsafi hai, humri pair me bhi moch awathe, hum ko maalish kabhi nahi milel”.
“Hato Bittu ji, aap bhi bade woh ho!”, Kamla muskaai, use bhi Bittu ka chedna ali ali man parel feri.

To Bublee ne Bittu ki chitti aur chuhe maarne ni daba paa liya Kamla se. Bahut dilemma hoi gawa ab, Bittu ke waaste wait karel ki suicide karel. Woh sochi, marna hi hai ta thodi bahut waiting swaiting ho jaye. Bittu ko 3 din ki mahurat deti hu, agar wo na aye to main jaan deit hu.

Bublee deep thought process me hoke gali me dekh rahel. Udhar padosi Halwaram ka beta chintu gotiya khel raha tha. Bublee ke dimaag me ek idea ayel. “Arey o Chintu, idhar aa be”, wo boli. “nahi didi, hum gotiya khelathe, disturb kaahe karatho?”, chintu bola. “Arey stupid child, hum tenu mithaai dungi”, Bublee kahel. Mithai ke naam sunte hi Chintu fatafat aigayo feri.
Bublee ne kalam aur kaapi pakri aur bunty ko lekhi ek chitti. Chitti me apni dil ki baat aisan lekhi:

Mere jigar ke tukde Bunty,
Tumaar chitti Kamla baai ne chupke se humko dedi. Bhagwaan Ram ko hum pooja karatho ki tumra swasth abbal bhayel. Tum bin jina mere liye haabi bhayel Bunty. Tum nahi howathe, hum paani bina ke machli jaise bhayel. Tumaar baaho me hum apni jindagi gujaarna chahel Bunty, aa gale lagja.
Tum hamaar liye kabita lekhatho, hum khusi le fut fut gayel. Hum bhi tumaar liye kabita me reply dine koshish karungi, praannath, first attempt howel, critical nabhael hai please?

Bunty mere bhola bhala, pyaar karatho hum tumse
Tumre bin har bakhat rehte hum gum sumse
Dil ki dhakan tej howi har bakhat tumri yaad me
Shaadi humko tumse karni hai Chunnilaal jaye bhaad me


Tere bin gujaara nahi howel, har bakhat aasu dharara
Humko tumse shaadi karke cycle me ghumne jana hai farara
Hum tum two peas in a pod bhayel judaai hai namunkin
Humse biha rachailo Bunty, nachungi main tak-dhi-na-dhin

3 din ki mahurat dungi, 3 din baad meri shaadi hai
Shaadi kya chunnilaal se biha kewal humri barbaadi hai
Hume lene ao ghode me, hum khusi khusi chalungi
Agar tum na aye Bunty, to me jeher khake marungi

Malum hai hume humri deadline thodi intense bhayel
Par Chunnilal se shaadi garna bhanda baru hum nark gayel
3 din tumri yaad me kaisan rahungi malum nahi
Aao bunty, bublee ke liye hamaar rishta ko kardo sahi

Chintu ko chitti dedi, aur chintu kud kud ke gaya Bunty ke ghar me.

Aage kya howel? Janne ke liye tune in karel , tomorrow.

To be Continued bhayel....


 
Posted on 04-04-13 1:12 PM     [Snapshot: 1512]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     0       ?    
 

 Is this a racial joke or a comedy story? 

i hope confused soul is not trying to stereotype madhesi people here

 
Posted on 04-04-13 1:36 PM     [Snapshot: 1536]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     0       ?    
 

pinky ji, sujhaab aur prashna ke liye abhaari hu. Humri yi katha patna ke gao se hai, ye hum pehli bakya mai bhanel. Bihar ka main bhasa hindi bhayel, par magahi, bhojpuri aur maithili bhi bahut lokpriya bhasa bhayel. Angrezi ki influence pani uttikai bhayel feri. To aap jo ye madhesi log ke khilaf racism bolatho, to hum madhesh ki story hi nahi likhathe, kaisan Madhesi logan ke khilaf hoigawa? Hum Patna me pada hu, par Nepalipan man mai hai. Hum sab jaat jaati, bhasa bhasi ke Nepali se prem karel. Yi katha ko ek hasi majak wali katha ke roop me lijiye, auro kuch baat nahi. Fir bhi chhyama maagta hu.
 
Posted on 04-04-13 1:42 PM     [Snapshot: 1547]     Reply [Subscribe]
Login in to Rate this Post:     0       ?    
 

Toh hum ko bahut vote ayeel. Vote aayel toh hamaar dil garden garden bhayel. Tomorrow ko hum goli mareell aur kahani hum abhii likheel. Confused Soul (Jwala) prastut karatho "Bunty Aur Bubli (Pyaar Diwana Hoyel)" bhaag 5.

**************************************************************
Chintu daguur daguur le bunty ke ghar mein gayeel uchhal uchhhal ke. Bunty chithii paake bahut khuus bhayeel. Khusi ke do asuuu taap taap jhareel aaur chithi padheel. Kabita padhke toh uska diil bahut khush bhayel, aur ghodaa nahii toh baapu ke gadhe pe chadh ke bubbly ko bhagaa le jaane ka sapana buneel. Jhatarpaataar woh chintu ko bolel
“Chintuwa, mere chithi bubly ko dedawa ka?”
Chintuwa bola, “Hamaar chithii pahuchwane ka rate fix kareel, ek chithiii ka rate do thok mithai howeel.”
Akhiir baanwaari dukaanwala ka beta jo thehera, dukaandaari bachpaan se chalu howeell.
Bunty jhatarpatar usko mithai deweel aur chithiii lekhne baithell aaur chithii lekheel:

“Mere dilo jaaan bubly,
Hum tohaar chithii padheel. Tohaar kabita padhke hum bhaavbibhaal bhayeel aaur aansu dhararaa jhareelll. Hum tohaar ke kabit padhkee critical nahi bhayeel, paar hamara dill bahuuut critical bhayeel. Hum tumko aur ek thok kabita lekheel

Hamaraa toh saas pholeel tohaar ki yaad satayee
Bahoot jaldi hogeel mahurat tumhare tin din ke
Tohree khatirr chunnilal ko hum bhaad mein pathaye
Tujhe jaisan bhi bhagayenge, chahe ghar girwi rakh ke

Aasu tohh hamara bhi jhareel, paar hum tissue use kareel
Cycle lekaar aana chaheel paar saala hawaa uska howeel light
Tuuh gulabooo hum toooh tohree kadaa bhayeeel
Yinnn kutoo ke samnee mataa nacheel, unse kareel hum fight

3 din nahi kurenge hum, humm aayengee aajj hi ki raat ko
Humree baaap ki gadhii ko daudayenge humm ghode ki chaal
Wait kareel tohaar chaat mein, ek bhayeel aaj hum do
Gaadhii mein baith ke hum jayeengee capital of nepaal.

Tu chintaa maat kareelll matt khanaa wooh jaheerrr
Aaj huum barsayengee us sarpanch ke ghar mein keheerr
Jaayengee hum tumm saarii duniyaa se bahuut tadhaaa
Suru karengee hamaar jiwaan, swachha auur sidha sadaa.
Haamaar wait karell raat ke dhai baje bubblyy chhat mein, huum doori soori anchorwa leeke aweel.
Wohii tohra pyaraa,
Banti.”

Chitthhi lekee chintuwaa daguur daguur ke bublly ke ghaar gayeeel. Paar chintu bahoot chalakh bhayeel. Iss chithiwa ka bhi business karne ke socheel aaru sidhaa sarpanch ke paas gayeeel aaur boleell.
“Sarpanch, hamaar paas bahuuut badaa khabar bhayeel, chaar mithaai diyeel tohh hum tumko wooh khabaar diyeel.”

To be Continued bhayel....

 



PAGE:   1 2 NEXT PAGE
Please Log in! to be able to reply! If you don't have a login, please register here.

YOU CAN ALSO



IN ORDER TO POST!




Within last 90 days
Recommended Popular Threads Controvertial Threads
TPS Re-registration case still pending ..
Toilet paper or water?
ढ्याउ गर्दा दसैँको खसी गनाउच
Mamta kafle bhatt is still missing
Tourist Visa - Seeking Suggestions and Guidance
Problems of Nepalese students in US
Are Nepalese cheapstakes?
and it begins - on Day 1 Trump will begin operations to deport millions of undocumented immigrants
From Trump “I will revoke TPS, and deport them back to their country.”
wanna be ruled by stupid or an Idiot ?
Sajha Poll: Who is your favorite Nepali actress?
अरुणिमाले दोस्रो पोई भेट्टाइछिन्
To Sajha admin
Travel Document for TPS (approved)
seriously, when applying for tech jobs in TPS, what you guys say when they ask if you have green card?
MAGA denaturalization proposal!!
How to Retrieve a Copy of Domestic Violence Complaint???
Nepali Psycho
advanced parole
All the Qatar ailines from Nepal canceled to USA
NOTE: The opinions here represent the opinions of the individual posters, and not of Sajha.com. It is not possible for sajha.com to monitor all the postings, since sajha.com merely seeks to provide a cyber location for discussing ideas and concerns related to Nepal and the Nepalis. Please send an email to admin@sajha.com using a valid email address if you want any posting to be considered for deletion. Your request will be handled on a one to one basis. Sajha.com is a service please don't abuse it. - Thanks.

Sajha.com Privacy Policy

Like us in Facebook!

↑ Back to Top
free counters